Monday 19 September 2011


Wo bolapan wo sadgi
 Wo jindadil wo sanjidgi
 Bus yade hi ban rah jati hai
Chati hu bhula dena kudh ko
 Par tanhai mere kal ko samne le ati hai
Ajj me esa hai bhi kya
 Jo main kal ko bhul jau
Par na chah kar bhi ajj me jina padta hai
  Ye kudh ko kaise samjau
Wo muskurahat jo karti thi
dil ki kushi bya
Wo in hoto ki juti hasi bya
Kho gayi jane kanha
Duniya kuch chati thi or dil kuch or
Is kasam kash hame is kadre bikar diya
Ki ab lagta hai jaise
 Hamne kudh ko hi gava diya
Apne bikhre tukdo se banai hai kuch tasvare hamne
Bus bata de inme se kon si hamari hai
Kudh ko samjane ki kosis me
Hum is kadre ulshte ja rahe hai
Ki jitna kudh ke pas jane ke liye kadam badate hai
Utna hi kudh se dur ja rahe hai


0 comments:

Post a Comment